MAIN TO TERE PAAS MEIN! : I AM WITHIN YOU!
Co-creators – Kabir Bani via Kabir Project by Shabnam Virmani; Hindi seed translation via Pallavi Garg; English interpretative poetry and musical expression via Shahana Dattagupta;
Kabir Bani
Moko kahaan dhoonde re bande?
Mein to tere paas mein (2)
Naa teerath mein, naa moorat mein
Naa ekaant nivaas mein
Naa mandir mein, naa masjid mein
Naa Kaabe Kailaas mein
Main to tere paas mein bande
Main to tere paas mein
Naa main jap mein, naa mein tap mein
Naa main barat upaas mein
Naa main kiriya karam mein rehta
Naa hee jog sanyaas mein
Naa main praan mein, naa main pind mein
Naa brahmaand akaas mein
Naa main pragati pravaar gufa mein
Naa main swaansan ki swaans mein
Khoji hoye turat mil jaaun
Ik pal ki talaas mein
Kahat Kabir suno bhai saadho
Main to hoon vishvaas mein (2)
Moko kahaan dhoonde re bande?
Mein to tere paas mein (2)
English Translation
Where do you search for me my friend?
I’m right here within you.
I’m right here within you my friend, right here within you
I’m neither in pilgrimage, nor in image
And not in your solitary seeking
I’m neither in the temple nor in the mosque
And not in Mecca nor Mt.Kailash
I’m right here within you my friend, right here within you
I’m neither in chanting, nor in penance
And not in fasting or sacrifice
I’m neither in rituals nor in willful doing
And not in union or renunciation
I’m neither in spirit,nor in body
And not in the cosmic skies
I’m neither in creation, nor in existence
And not even in the breath of breaths!!
“Wake up!” says Kabir
Fall into your heart and I shall be instantly seen
For I am solely in your faith!
I’m right here within you.
I’m right here within you my friend, right here within you